Wednesday, 26 February 2014

Imran Khan

Imran Khan Biography

Source(google.com)
Name: Imran Khan Niazi

Personality: Cricketer, Politician, social worker

Born (Birthday): 25 November 1952

Birth Place: Lahore

Fields: Cricket, Politic

Political Party ( Leader): Pakistan Tehreek Insaf

Wife Name: Ex-wife Jemima Khan

Children: Sulaiman Khan, Qasim Khan

Education: Aitchison College, Royal Grammar School Worcester, University of Oxford, Keble College, Oxford

Parents: Shaukat Khanum, Ikramullah Khan Niazi

Biography:

Imran khan Pakistan cricket team ke kamyab tareen captain aur mash-hor samaji karkun ke elawa aik kamyab siyasatdan bhi hein. In ka pora naam Imran Khan Niazi hai, in ke walid ka naam Ikramullah Khan Niazi hai aur in ki walda ka naam Shaukat Khanum hai. in ki sabqa bivi ka naam Jemima Khan hai, in ke 2 bete hein, Sulaiman Khan and Qasim Khan hai.
Imran Khan 25 November 1952 ko Lahore mein peda howe. Imran Khan ne ibtadai taleem Punjab ke shehar Lahore mein Cathedral school Lahore aur Aitchison college Lahore se hasil ki es ke bad aala taleem ke liye bartania chale gae aur wahan Royal Grammar School se parhna shoru kar diya aur pher oxford university se BA Honours ki degree hasil ki.

Imran Khan ko bachpan se he cricket khelne ka shosq janon ki had tak tha jab ap oxford university ki cricket team mein select howe to ap ki khushi ki inteha na thi, ap ki salahiyat ko dekhte howe kuch hi dino ke bad aap ko oxfor university ki cricket team ka captain bana diya gaya.

Imran khan ne first class cricket ka aaghaz 1969 mein Lahore ki taraf se Sargodha ke khelaf khela es ke bad kuch he dino mein woh Pakistan ki taraf se apna pehla match England ke khelaf 1971 mein Birmingham mein khela. Es ke bad un ki kamyabi ka safer shoru howa. Imran khan bachpan se he erade ke pakke they aur jo than lete thein ese pora karte thein woh kabhi har nahi mante. Imran Khan niazi jo sochte use pora karne ki than lete yahi wajha hai ke Pakistan ko world champion banane ka jo khawab unho ne dekha bil-aakhir ese pora kar dekhaya aur Pakistan 25 March 1992 ko Australia ke sar-zameen per pehli bar world champion ban gaya.

Imran Khan ki shadi 21 June 1995 ko bartania ke aik businessman James Gold Smith ki beti Jemima se hoi, imran khan se shadi ke liye woh muslim hoen, Jemima se Imran Khan ke do bete hein, Imran aur Jemima ki shadi zyada arsa nahi chali aur sirf 9 saal mein in ki alehdgi ho gai aur woh apne dono bete ko lekar wapas bartania chali gain.

Imran khan hamesha sochte they ke Pakistan mein bhi Cancer ka hospital hona chahiye aur unh one es per bohat mehnat ki aur bil-aakhir woh din bhi aa gaya jab imran khan ne Pakistan ke ghareeb awam ko aik cancer ka haspatal (hospital) diya jo Lahore mein shaukat khanum memorial cancer hospital and research centre ke naam se mojod hai aur us mein be-shumar ghareeb logo ka muft elaj ho raha hai, es kar-e-kher ko pora karne ka imran khan ne usi din soch liya tha jab un ki waleda cancer ki mozi marz ki wajha se intaqal kar gain thin, es ke elawa imran khan ne Pakistani awam ko ek aisi university bhi bana kar diya jis mein duniya ki her degree di jati hai jis ka naam Namal University hai aur namal university 2008 ko wajod mein aai. Es university mein duniya ki her parhai hoti hai.

Imran Khan ne cricket se retirement ke bad siyasat mein qadam rakha aur aik jamaat banai jis ka naam pakistan tehreek insaf hai. Pakistan tehreek insaf 25 April 1996 ko wajod mein aai.

Imran Khan pukhta erade ke malik hein aur woh aik dafa pher aik nae jazbe ke sath Pakistan ko khushal Pakistan banane ka jo khawab dekha hai, bohat jald Pakistan mein khushali, aman aur insaf aane ki umeed ho chali hai.

Cricket Career:

Imran Khan ne first class cricket ka aaghaz 1969 mein Lahore ki taraf se khelte howe kiya es ke elawa imran khan PIA ki taraf se bhi khele aur oxford university ki bhi numaendagi ki, unho ne county cricket bhi khela. Imran khan ka international cricket caree 3 June 1971 mein England ke khelaf khelte howe shoru howa aur 3 saal ke bad woh apna pehla one day (ODI) match bhi England ke khelaf he 31 August 1974 ko khela, imran khan ne aakhri test 2 January 1992 ko Sri Lanka ke khelaf khela aur aakhri one day (ODI) 25 March 1992 ko England ke khelaf khela, inho ne 1992 ka world cup bhi jeta, sabiq captain 1992 ke world cup mein front se lead karte howe Pakistan ko jeet delai.

Career Statistic

Competition

Test

ODI

FC

Match

88

175

382

Runs Scored

3,807

3,709

17,771

Batting Average

37.69

33.41

36.79

100

06

01

30

50

18

19

93

Top Score

136

102*

170

wickets

362

182

1,287

Best Bowling

8/58

6/14

8/34

5 Wickets in inning

23

01

70

10 Wickets in match

06

n/a

13

Samaji Sar-garmiyan (social activities):

Imran Khan samaji tor per aese kaam kar rahe hein jo mulk aur qoum ke liye bohat aehamyat rakhte hein, woh Imran Khan foundation (IKF) ke naam se aik aesa adara chala rahe hein jo ghareeb awam ki madad kar raha hai es adare ke tawasat se Imran Khan ne District Badin ke ghareeb awam ko 5000 ghar faraham kiye es ke elawa woh cancer ke elaj ke liye shaukat khanum memorial cancer hospital and research centre chala rahe hein aur Namal college jesi saholat Pakistani awam ko faraham kiya hai, Pakistan mein selab zadgan hon ya zalzale ke mutasereen Imran Khan humesha in be-bas aur be-sahara logo ke saath saath khare howe hote hein.

Shaukat Khanum Memorial Cancer Hospital and Research Centre:

Shaukat Khanum Hospital ka qayam 29 December 1994 ko amal mein aaya. Es hospital mein gharebon ka muft elaj kiya jata hai aur ye Pakistan ke qalab Lahore mein waqae hai, Shaukat Khanum Hospital donation ke zarye chal raha hai jis ko dost, ahbab aur pori duniya ke ameer log donate kar rahe hein. Es hospital mein 1000 cancer ke mareezon ka muft elaj hota hai. es hospital ke bani Imran Khan hein.

Namal College/University:

Namal college Punjab ke shehar mianwali mein waqae hai, es college mein duniya ki her subject parhai jati hai. Namal college 40 kenal per mojod hai jo Mr Ghulam Mohammad Seelu ne provide kiya hai ye aik aam insane hein. Es college ke president Imran Khan hein. Imran Khan humesha chahte hein ke Pakistan ke no-jawano ko Pakistan he mein aik mayari aur sasti taleem mil sake aur woh aik din Pakistan ka naam roshan kar sakein.

Siyasi sargarmiyan (political activities):

Khelon ki diniya mein naam kamane ke bad kai cricketer ne Pakistani siyasat mein qadam jamane ki koshesh ki magar kamyabi bohat kam ko mili in he mein ek naam Imran Khan ka hai.

Imran Khan ne 15 saal pehle Pakistan tehreek insaf ki bunyad rakhi aur 15 saal ki an-thak mehnat ke bad Pakistani siyasat mein tesri badi party ke tor per samne aaien, es doran kai hokumatein aain aur chali gain Imran Khan ki soch aur andaz bhi badalti rahi. Imran khan ne 1997 ka election nawaz sharif aur Benazir Bhutto ke khelaf larte howe buri tarha na-kam howe aur jab general perveez Musharaf aain to in ke hami ban gae, referendum mein in ka sath diya magar kuch he dino mein unho ne Musharaf ka sath dene ko apni zindagi ki sab se bari ghalati tasleem kiya aur qoum se perveez musharaf ka sath dene ki wajha se mafi mangi.

2002 ke election mein imran khan ko Mianwali ki nishist se kamyabi mil gai magar national assembly mein un ki aik loti awaz baz-gasht ban ke reh gai aur jab wakla ki tehreek ka aaghaz howa to Imran Khan ne media ke zarye siyasi maqboliyat hasil karni shoru ki aur jab 2008 ka election aaya to election mein hissa na lene ka fesla kiya es tarha no-jawan nasal in ki taraf matawajah hoti chali gai.

30 October 2011 ko hone wala minar-e-Pakistan ka jalsa in ki siyasi maqboliyat ki pehli serhi sabit hoi Imran Khan jab siyasat mein aaein to in ka qarebi taluq jamat Islami ke sabiq ameer qazi hussain ahmed marhom ke sath raha. Pakistan tehreek insaf es waqt Punjab samet pore Pakistan mein aik maqbol tareen jamat ke tor per samne aai hai.
Imran Khan was born in Lahore, NE Pakistan, on November 25, 1952. He studied at Oxford and became a champion cricketer, leading Pakistan to the 1992 World Cup. After retiring from sport, he entered politics and formed his own party, the Pakistan Tehrik-i-Insaaf (Pakistan Justice Movement). He is a regular commentator on cricket.

CONTENTS

Synopsis
Career Highlights
Career Highlights

Cricketer, born in Lahore, NE Pakistan. He studied at Oxford, playing in his first Test at 18 while at the university. One of the greatest all rounders, he was a fast bowler, adaptable batsman, and astute captain who inspired Pakistan's rise to prominence in world cricket. After leading Pakistan to the 1992 World Cup, he retired with a total of 3807 runs and 362 wickets in Test matches. He also played for Sussex and Worcester. His highly publicized nine-year marriage to Jemima Goldsmith ended in 2004. In addition to following a career in politics, forming his own party, Pakistan Tehrik-i-Insaaf (Pakistan Justice Movement), he is a cricket commentator.

© 2014 A+E Networks. All rights reserved.

Imran Khan

Imran Khan

Imran Khan

Imran Khan

Imran Khan

Imran Khan

Imran Khan

Imran Khan

Imran Khan

Imran Khan

Imran Khan

No comments:

Post a Comment